Javed Shaheen

dil-e-girafta ke sab pech-o-tab khol ke dekh

Javed Shaheen

Amritsar, Punjab, India

1932-2008
dil-e-girafta ke sab pech-o-tāb khol ke dekh
havā kā zor muhīt-e-hubāb khol ke dekh
mire lahū ko numā.ish-gah-e-vafā se uThā
hai jam.a o ḳharch bahut ye hisāb khol ke dekh
ye kis ke zulm se har shai hai misl-e-sañg ḳhamosh
ai naqsh-gar dar-e-shahr-e-ḳharāb khol ke dekh
kahīñ to dasht meñ Thahregī mauj-e-āb-e-gurez
ravāñ huā hai to rāz-e-sarāb khol ke dekh
dhaḌakte dil se na maujoñ kī razm-gah meñ utar
ḳhat-e-safar ko kaf-e-dast-e-āb khol ke dekh
haiñ kab se tishna-e-ma.anī mire hurūf-e-badan
farāġh ho to kabhī ye kitāb khol ke dekh
zarā surāġh lagā mere rañg-e-ḳhasta kā
ġhamoñ kī dhuup meñ band-e-naqāb khol ke dekh
guloñ ko kis liye Dastī haiñ chāñdnī rāteñ
kahāñ hai zahr rag-e-māhtāb khol ke dekh
mazā to jab hai ki gulshan meñ jashn-e-sho.ala ho
bharī bahār meñ dāġh-e-gulāb khol ke dekh
kanār-e-dasht-e-balā kaun hai makīñ 'shāhīñ'
ḳhamosh suunī havelī kā baab khol ke dekh
Top Urdushayar.com