fā.eda kyā tumheñ sunāne kā
maut unvāñ hai is fasāne kā
ham bhī apne nahīñ rahe ai dil
kis se shikva kareñ zamāne kā
zindagī chauñk chauñk uTThī hai
zikr sun kar sharāb-ḳhāne kā
kis kī āñkhoñ meñ aa.e haiñ aañsū
ruḳh badalne lagā zamāne kā
barq nazroñ meñ kauñd uThtī hai
naam sunte hī āshiyāne kā
'naqsh' kashtī ke nāḳhudā vo haiñ
lutf hai aaj Duub jaane kā