muddat meñ idhar phir vo gul-bār nazar aa.e
sahrā meñ bahāroñ ke āsār nazar aa.e
kyā rāz-e-mashiyyat thā ham ālam-e-hastī meñ
majbūr rahe lekin muḳhtār nazar aa.e
mastī-bharī āñkhoñ se jab us ne hameñ dekhā
masrūr nazar aa.e sarshār nazar aa.e
dekhe haiñ mohabbat ke ham ne ye karishme bhī
ik baar chhupe gar vo sau baar nazar aa.e
phir mast ghaTā chhā.ī phir paḌne lagīñ būñdeñ
phir jām-ba-kaf har-sū mai-ḳhvār nazar aa.e
mad.hosh fazāoñ meñ phir qaus-e-quzah damkī
phir qāmat-e-rañgīñ ke anvār nazar aa.e
un mast nigāhoñ ne ḳhud apnā bharam kholā
inkār ke parde meñ iqrār nazar aa.e
ham bāda-parastoñ ne chheḌī jo hadīs-e-mai
khulte hue duniyā ke asrār nazar aa.e
har ruuh meñ dekhī hai ai 'naqsh' ḳhalish ġham kī
har phuul ke pahlū meñ kuchh ḳhaar nazar aa.e