aaj to us ne yuuñ dekhā hai
jaise mujh ko bhuul gayā hai
kaliyāñ khul kar phuul banī haiñ
kis kā āñchal lahrāyā hai
un ko ab mere ġham kā
shāyad kuchh ehsās huā hai
sāmne un ke khoyā khoyā
soch rahā huuñ kyā kahnā hai
ruḳh pe bahāreñ jhuum rahī haiñ
aañkh meñ nashsha Dol rahā hai
armānoñ ke ḳhuun se maiñ ne
maañg meñ terī rañg bharā hai
'naqsh' ġhazal ye kis ne chheḌī
zarra zarra jhuum rahā hai