Mahesh Chandra Naqsh

hua hai ahl-e-sahil par asar kya

Mahesh Chandra Naqsh

Meerut, Uttar pradesh, India

1922-1980
huā hai ahl-e-sāhil par asar kyā
tujhe ai Dūbne vaale ḳhabar kyā
vahī hai chashm-e-nargis kā tahayyur
nahīñ gulshan meñ koī dīda-var kyā
safīna kyuuñ tah-e-girdāb aayā
talātum-ḳhez maujoñ ko ḳhabar kyā
nigāh-e-lutf kā mamnūn hai dil
magar ye pursish-e-bār-e-digar kyā
na jaanā jis ne rāz-e-marg-o-hastī
vo kyā samjhe ki hai terī nazar kyā
bahut dushvār thī rāh-e-mohabbat
hamārā saath dete ham-safar kyā
sitāroñ kī bhī umreñ ho ga.iiñ ḳhatm
na hogā qissa-e-ġham muḳhtasar kyā
sahar apnī na apnī shaam ai 'naqsh'
kisī majbūr ke shām-o-sahar kyā
Top Urdushayar.com