sach to ye hai ki tamannāoñ kī jaañ hotī hai
vahī ik baat jo hairat meñ nihāñ hotī hai
haal kah dete haiñ nāzuk se ishāre akasr
kitnī ḳhāmosh nigāhoñ kī zabāñ hotī hai
mere ehsās o tafakkur meñ sulagtī hai jo aag
vahī mazlūm ke ashkoñ meñ nihāñ hotī hai
haa.e vo vaqt ki jab un kī hasīñ āñkhoñ se
ek pur-kaif tajallī sī ayaañ hotī hai
log kahte haiñ jise husn-e-adā kī shoḳhī
yahī rañgīn ishāroñ kā bayāñ hotī hai
kitnī pyārī hai vo ma.asūm tamannā ai dost
jo tazabzub kī fazāoñ meñ javāñ hotī hai