tasvīr-e-zindagī meñ nayā rañg bhar ga.e
vo hādse jo dil pe hamāre guzar ga.e
duniyā se haT ke ik na.ī duniyā banā sakeñ
kuchh ahl-e-ārzū isī hasrat meñ mar ga.e
niklā jo qāfile se na.ī justujū liye
kuchh duur saath saath mire rāhbar ga.e
nairañgiyāñ chaman kī pashemān ho ga.iiñ
ruḳh par kisī ke aaj jo gesū bikhar ga.e
phūTī jo us jabīñ se ināyat kī ik kiran
maġhmūm ārzūoñ ke chehre nikhar ga.e
har shai se be-niyāz rahe jin meñ husn o ishq
ai zindagī batā ki vo lamhe kidhar ga.e
ai 'naqsh' kar rahā thā jinheñ ġharq nāḳhudā
tūfāñ ke zor se vo safīne ubhar ga.e