Javed Shaheen

ab yahan logon ke dukh-sukh ka pata kya aae

Javed Shaheen

Amritsar, Punjab, India

1932-2008
ab yahāñ logoñ ke dukh-sukh kā patā kyā aa.e
band hoñ ghar to makīnoñ kī sadā kyā aa.e
Dūbte din kī jilau meñ na sukūñ hai na farāġh
shafaq-e-shām se chehroñ pe ziyā kyā aa.e
sard sīnoñ meñ panapte hī nahīñ dard ke biij
in ḳharāboñ pe barasne ko ghaTā kyā aa.e
duur ho kaise tire jism tirī jaañ kī ghuTan
tañg be-rauzan-o-dar ghar meñ havā kyā aa.e
kho chuke lutf-e-sahar-ḳhezī garāñ ḳhvāb-e-makīn
sub.h-dam band darīchoñ meñ sabā kyā aa.e
ḳhushk patte haiñ ki jhaḌte hī nahīñ peḌoñ se
kaise tabdīl ho rut rañg nayā kyā aa.e
garm hañgāma kare kaun ragoñ meñ 'shāhīñ'
ḳhushk nadiyoñ meñ koī mauj-e-balā kyā aa.e
Top Urdushayar.com