Mahesh Chandra Naqsh

nur-o-nikhat ki ye barsat kahan thi pahle

Mahesh Chandra Naqsh

Meerut, Uttar pradesh, India

1922-1980
nūr-o-nik.hat kī ye barsāt kahāñ thī pahle
zindagī itnī hasīñ raat kahāñ thī pahle
ab to palkoñ pe sitāre se laraz uThte haiñ
ġham-e-mahbūb kī ye baat kahāñ thī pahle
terī yādoñ se farozāñ haiñ fazā.eñ jin kī
aisī rātoñ se mulāqāt kahāñ thī pahle
un kī badmast nigāhoñ kā karam hai ai dil
zindagī bazm-e-ḳharābāt kahāñ thī pahle
kaif ye dard-e-mohabbat ne kiyā hai paidā
ye dil-āvezī-e-naġhmāt kahāñ thī pahle
aaj yuuñ dil ke taḌapne kā bharam TuuTā hai
hasrat-e-ltuf-o-ināyāt kahāñ thī pahle
'naqsh' un shoḳh nigāhoñ kā fusūñ hai varna
dil meñ ye shorish-e-jazbāt kahāñ thī pahle
Top Urdushayar.com