Mahesh Chandra Naqsh

jita hun jo mar mar ke ye jina to nahin hai

Mahesh Chandra Naqsh

Meerut, Uttar pradesh, India

1922-1980
jiitā huuñ jo mar mar ke ye jiinā to nahīñ hai
duniyā mire ehsās kī duniyā to nahīñ hai
kahne ko to hai dīda-e-nargis meñ bhī jaadū
har aañkh meñ tasvīr-e-tamannā to nahīñ hai
ye husn ke jalve ye fazāoñ kā tarannum
ye shām-e-chaman shām-e-kalīsā to nahīñ hai
aayā hai dil-e-zār ko paiġhām-e-masarrat
ye bhī ġham-e-fardā kā taqāzā to nahīñ hai
yuuñ ruuTh ke jaane pe maiñ ḳhāmosh huuñ lekin
ye baat mire dil ko gavārā to nahīñ hai
har haal meñ lāzim hai mujhe pās-e-mohabbat
ye sach hai magar dil kā bharosa to nahīñ hai
bigḌe the vo jis baat pe mujh se sar-e-mahfil
ai 'naqsh' dil us baat ko bhūlā to nahīñ hai
Top Urdushayar.com