paanī kā ajab taur thā paanī se nikal kar
sailāb kī sūrat thā ravānī se nikal kar
sunñe ko jo baiThe haiñ unheñ kaise batā.ūñ
kirdār koī gum hai kahānī se nikal kar
kahnī hai koī baat to kah sīdhī zabāñ meñ
alfāz ke pur-pech ma.ānī se nikal kar
zindānī-e-ulfat hai kahāñ aaj zamāna
ye dekh kisī yaad purānī se nikal kar
taktā rahā tezī se badalte hue manzar
phirtā rahā maiñ yaad suhānī se nikal kar
bhar rakkhā thā ḳhush-bū ne mire sehn ko 'shāhīñ'
kone meñ khilī raat kī raanī se nikal kar