hai duā hoñToñ pe aur haiñ ḳhvāhisheñ hāthoñ ke biich
kaam duniyā ke nikalte haiñ munājātoñ ke biich
sard nīndoñ kī musalsal gir rahī haiñ pattiyāñ
kuchh safed aur kuchh siyah se ḳhvāb haiñ rātoñ ke biich
lamha lamha paḌtī rahtī hai diloñ meñ ik girah
tevarī ik chal rahī hai raat din māthoñ ke biich
dekhtī hai ġhaur se har shai ko vo bīmār aañkh
ek gahrā zard ashk hai us kī sab bātoñ ke biich
jab se nikle haiñ diloñ ke kaam meñ ghāTe bahut
ham hisāb-e-dostāñ likhte haiñ ab khātoñ ke biich
ab to uThtā jā rahā hai mausamoñ se e'tibār
dil kisī sahrā meñ hai aur jism barsātoñ ke biich
mujh ko 'shāhīñ' dukh bahut detī hai us kī ye adā
jaise vo hotā nahīñ mil kar mulāqātoñ ke biich