ajab sī koī be-yaqīñ raat thī
kahīñ thoḌā din thā kahīñ raat thī
giraftār thī dard-e-zeh meñ bahut
vo taḳhlīq kī avvalīñ raat thī
thiiñ chīzeñ jahāñ shakl paane ke ba.ad
vahīñ din bhī thā aur vahīñ raat thī
kahāñ thī ye jab tak ki zāhir na thī
falak par ki zer-e-zamīñ raat thī
mire saath jo mere bistar meñ thī
vo sab se zyāda hasīñ raat thī
nikaltī thī jo raushnī dekhne
kisī tiira ghar kī makīñ raat thī
mile bhī to bikhre hue maah o saal
kahīñ din paḌā thā kahīñ raat thī
kisī ḳhaar mānind chubhtī rahī
ba-zāhir baḌī maḳhmalīñ raat thī
thā nārāz din mere ik fe.al par
kisī baat par ḳhashm-gīñ raat thī
zyāda hī gahrī thī 'shāhīñ' shafaq
baḌī der tak ātishīñ raat thī