Javed Shaheen

KHatra sa kahin meri ikai ke liye hai

Javed Shaheen

Amritsar, Punjab, India

1932-2008
ḳhatra sā kahīñ merī ikaa.ī ke liye hai
har lamha yahāñ ḳhud se judā.ī ke liye hai
ik haath ko kuchh karne kī aadat nahīñ Daalī
jo dūsrā hai sirf gadā.ī ke liye hai
har shaḳhs kī hai shaam se apnī koī nisbat
mere liye to din se rihā.ī ke liye hai
din saarā guzar jaatā hai ik duurī meñ ḳhud se
aur shaam kisī aur judā.ī ke liye hai
mauqā hai ki ehsān koī us kā chukā duuñ
ik lamha mire paas burā.ī ke liye hai
hai kaun jhaTak de jo kisī dast-e-jafā ko
ye ḳhalq-e-ḳhudā sirf duhā.ī ke liye hai
ab ḳhuuñ ko banānā hai tire hoñT kī surḳhī
bach jā.egā jo dast-e-hinā.ī ke liye hai
tohmat sī koī ḳhud pe lagā rakkhī hai 'shāhīñ'
ik daaġh sā añgusht-numā.ī ke liye hai
Top Urdushayar.com