dekhnā jab mujhe kar shaan ye gaalī denā
kis se tum sīkhe ho har aan ye gaalī denā
iḳhtilāt aap se aur mujh se kahāñ kā aisā
vaah jī jaan na pahchān ye gaalī denā
ab to nādāñ ho sunā chāho so pyāre kah lo
par tumheñ hovegā nuqsān ye gaalī denā
āḳhirash hogī jo un par to kise bhāvegā
chand roz aur hī mehmān ye gaalī denā
tohmat-e-bosa abas detī ho manzūr jo ho
kar ke be-fā.eda bohtān ye gaalī denā
dījiye dījiye hai ain sa.ādat apnī
āshiqoñ par to hai ehsān ye gaalī denā
tere ġhussa se jo 'inshā' ho ḳhafā nāhaq hai
haañ tujhe chāhiye nādān ye gaalī denā