hai mujh ko rabt bas-ki ġhazālān-e-ram ke saath
chaukūñ huuñ dekh saa.e ko apne qadam ke saath
hai zāt-e-haq javāhir o aġhrāz se barī
tashbīh kyā hai us ko vajūd o adam ke saath
kyā ain o mulk o vaz.a o izāfat kā daḳhl vaañ
hai infi.āl o fel matā kaif-o-kam ke saath
dekhā maiñ saath Dhol ke suulī par un kā sar
faḳhriyya vo jo phirte the tabl-o-alam ke saath
dekhī ye chaah un kī andhere kueñ ke biich
pheñkā lapeT kushte ko apne gulam ke saath
kū-e-butāñ se tauf-e-haram ko chale to ham
lekin kamāl-e-hasrat o hirmān o ġham ke saath
thiiñ apnī āñkheñ halqa-e-zanjīr kī namat
paivasta hil rahī dar-e-baitus-sanam ke saath
kahte ho vuuñ se hoke idhar aao vuuñ chaleñ
kyā ḳhuub kyuuñ na dauḌ paḌūñ aise dam ke saath
tum aur baat maano ajī sab nazar meñ hai
dāñtoñ tale zabān dabānī qasam ke saath
ab chheḌ chhāḌ kī ġhazal 'inshā' ik aur likh
haiñ laakh shoḳhiyāñ tirī nok-e-qalam ke saath