mal ḳhūn-e-jigar merā hāthoñ se hinā samjhe
maiñ aur to kyā kosūñ par tum se ḳhudā samjhe
samjhāne kī jo bāteñ kiiñ maiñ ne dilā tujh se
ai aql kī dushman so terī to balā samjhe
dil meñ mire chuTkī lī aisī hai ki dard uTThā
ma.aqūl che ḳhush ai vaah aap is ko adā samjhe
ai bū-lahab-e-naḳhvat sīdhe haiñ agar sach-much
to aaj se sāhab ko ham apnā chachā samjhe
sāhab ne na kī yaarī vahshat se parī se to
ai shaiḳh-e-junūñ tum ko ham ḳhvāja-sarā samjhe
hañgāma-e-mahshar bhī gar sāmne aayā to
us ko bhī tamāshā.ī ek saañg nayā samjhe
vo dasht-e-mohabbat meñ rakkhe qadam ai 'inshā'
sar apne ko aage hī jo tan se judā samjhe