Insha Allah Khan 'Insha'

lab pe aai hui ye jaan phire

Insha Allah Khan 'Insha'

Murshidabad, West Bengal, India

1753-1817
lab pe aa.ī huī ye jaan phire
yaar gar is taraf ko aan phire
chain kyā ho hameñ jab aaTh pahar
apne āñkhoñ meñ vo javān phire
ḳhūn-e-āshiq chhuTā ki hai lāzim
tere talvār par ye saan phire
sāqiyā aaj jām-e-sahbā par
kyuuñ na lahrātī apnī jaan phire
hichkiyāñ lī hai is tarah bat-e-mai
jis tarah gaTkarī meñ taan phire
yā to vo ahd the ki ham hargiz
na phireñge agar jahān phire
aa.e ab roke ho ma.āz-allāh
aap se shaḳhs kī zabān phire
ruuTh kar uTh chale the 'inshā' se
baare phir ho ke mehrbān phire
Top Urdushayar.com