Insha Allah Khan 'Insha'

lo faqiron ki dua har tarah aabaad raho

Insha Allah Khan 'Insha'

Murshidabad, West Bengal, India

1753-1817
lo faqīroñ kī duā har tarah ābād raho
ḳhud raho maujeñ karo taaze raho shaad raho
aire-ġhaire vo jo hoñ shauq se chaT kar lo unheñ
par ḳhudā vāloñ kī karte hue imdād raho
qumrī-e-bāġh-e-bahisht ab jo ye be-fāḳhta haiñ
unheñ bhī kah do ki tum sarv se āzād raho
diid us kī hai karo jis ne banāyā sab kuchh
na ki har lahza fidā-e-gul-o-shamshād raho
daam meñ se jo chhuTe haiñ unheñ ye hukm huā
ki bas ab gard-e-dar-e-ḳhāna-e-sayyād raho
jā ke auroñ se bado yād-farāmosh vale
ḳhud-farāmoshoñ ko maulā mirī tum yaad raho
sūrat aave jo nazar khīñch lo us kī tasvīr
apne is vaqt ke tum mānī-o-bahzād raho
chaman-e-amn-o-amāñ ke tumheñ ho sair-nasīb
sā.īñ allāh sadā bar-sar-e-irshād raho
aish-o-ishrat karo har vaqt tum 'inshā-allāh'
husn chamkā.e phiro sab meñ parī-zād raho
Top Urdushayar.com