Insha Allah Khan 'Insha'

tumhaare hathon ki ungliyon ki ye dekho poren ghulam tison

Insha Allah Khan 'Insha'

Murshidabad, West Bengal, India

1753-1817
tumhāre hāthoñ kī uñgliyoñ kī ye dekho poreñ ġhulām tīsoñ
ġharaz ki ġhash hai agar na maano to jhaT uThā le kalām tīsoñ
imaam baara burūj baara anāsir-o-jism-o-rūh ai dil
yahī to sarkār-e-haq-ta.ālā kī haiñ mudār-ul-mahām tīsoñ
nahīñ ajā.ib kuchh aañkh hī meñ rutūbateñ tiin saat parde
oquul das mudrikāt das haiñ so karte rahte haiñ kaam tīsoñ
uluum chaudah maqūla das aur jihāt sitta banā.e us ne
umūr-e-duniyā ko taaki pahuñchā.eñ ḳhuub sā insirām tīsoñ
balā.eñ kaalī haiñ us parī bin ye tīsoñ rāteñ kuchh aisī 'inshā'
ki har mahīne ke din bhī jin ko kare haiñ jhuk kar salām tīsoñ
Top Urdushayar.com