ik jagah huuñ phir vahāñ ik yaad rah jaane ke baad
kis qadar paanī kisī dariyā meñ bah jaane ke baad
ik jagah ḳhud mujh ko apne sach pe shak sā paḌ gayā
pur-yaqīñ kitnā thā vo ik jhuuT kah jaane ke baad
shaam hai aur jaane vaalā din hai mere sāmne
ranj meñ huuñ merā saarā kaam rah jaane ke baad
hai yaqīñ mujh ko ki hai rahne ke qābil ye jahāñ
haañ magar kitnā ḳhas o ḳhāshāk bah jaane ke baad
ik na.ī tāmīr kā sochūñgā phir pahle mujhe
saaf karnī hai zamīñ ik shahr Dhah jaane ke baad
yuuñ huā phir maiñ ne us se kam ta.alluq kar liyā
us kī koī baat ik mushkil se sah jaane ke baad
ḳhud se bāteñ kar ke koī bojh halkā ho gayā
kuchh sukūñ aa jaa.e jaise zaḳhm bah jaane ke baad
soch le 'shāhīñ' use paanā ki khonā hai use
jā chukā hai vo tujhe ik baat kah jaane ke baad