ye kis se chāñdnī meñ ham ba-zer-e-āsmāñ lipTe
ki bāham arsh par maare ḳhushī ke qudsiyāñ lipTe
hudī-ḳhvāñ vādī-e-majnūñ meñ naaqe ko na le jaanā
mabādā ik bagūlā sā ba-pā-e-sārbāñ lipTe
adab gar hazrat-e-jibrīl kā maan.e na ho mujh ko
to shāḳh-e-sidra se mere ye āh-e-nā-tavāñ lipTe
sikandar aur daarā kyā karoḌoñ aur bhī un se
paḌe haiñ gor ke taḳhte se zer-e-ḳhākdāñ lipTe
kisī Dhab se tabī.at sair hotī hī nahīñ un se
abhī dālān se laa.e ba-zer-e-sā.ebāñ lipTe
hañse bole rahe mashġhūl apne jis tarah chāhā
udhar lipTe udhar so.e yahāñ chimTe vahāñ lipTe
va-lekin paas kahtī hai ki hoñgī ḳhvāb kī bāteñ
tumheñ kuchh ḳhair hai sāhab batāo to jahāñ lipTe
kidhar loTe kidhar poTe hañse bole kidhar jā kar
kahāñ lipTe kahāñ so.e kahāñ chimTe kahāñ lipTe
ġhazal mastī meñ likh ik aur bhī 'inshā' ki tā tere
balā.eñ aa ke saaqī le tujhe pīr-e-muġhāñ lipTe