maiñ ki tanhā e'tibār-e-zāt khone se huā
jo huā vo dil meñ shak kā biij bone se huā
ik zarā se dāġh-e-rusvā.ī kā itnā phailnā
aisā dāman ko kisī jaldī meñ dhone se huā
maiñ ne dekhā hai chaman se ruḳhsat-e-gul kā samāñ
sab se pahle rañg maddham ek kone se huā
maiñ hī bantā huuñ fasād-e-āb-o-gil kā har sabab
kis qadar nuqsān merā mere hone se huā
ek hañgāma huā jo raat ke aivān meñ
raushnī kā ḳhār-e-zulmat meñ chubhone se huā
kyā batā.ūñ kis tarah jaatā rahā zād-e-safar
ye ziyāñ bas ek pal raste meñ sone se huā
sar pe hī rahtā agar to sar kā bachnā thā muhāl
bojh merā kam ise har aan dhone se huā
zindagī ghistī rahī 'shāhīñ' basar hone ke saath
pairahan kā rañg phīkā roz dhone se huā