Insha Allah Khan 'Insha'

mujhe kyun na aawe saqi nazar aaftab ulTa

Insha Allah Khan 'Insha'

Murshidabad, West Bengal, India

1753-1817
mujhe kyuuñ na aave saaqī nazar āftāb ulTā
ki paḌā hai aaj ḳhum meñ qadah-e-sharāb ulTā
ajab ulTe mulk ke haiñ ajī aap bhī ki tum se
kabhī baat kī jo sīdhī to milā javāb ulTā
chale the haram ko rah meñ hue ik sanam ke āshiq
na huā savāb hāsil ye milā azaab ulTā
ye shab-e-guzishta dekhā vo ḳhafā se kuchh haiñ goyā
kaheñ haq kare ki hove ye hamārā ḳhvāb ulTā
abhī jhaḌ lagā de bārish koī mast baḌh ke na.ara
jo zamīn pe pheñk maare qadah-e-sharāb ulTā
ye ajiib mājrā hai ki ba-roz-e-īd-e-qurbāñ
vahī zab.h bhī kare hai vahī le savāb ulTā
yūñhī va.ada par jo jhūTe to nahīñ milāte tevar
ai lo aur bhī tamāshā ye suno javāb ulTā
khaḌe chup ho dekhte kyā mire dil ujaḌ ga.e ko
vo gunah to kah do jis se ye dah-e-ḳharāb ulTā
ġhazal aur qāfiyoñ meñ na kahī so kyūñki 'inshā'
ki havā ne ḳhud-baḳhud aa varaq-e-kitāb ulTā
Top Urdushayar.com