Insha Allah Khan 'Insha'

bandagi humne to ji se apni Thani aap ki

Insha Allah Khan 'Insha'

Murshidabad, West Bengal, India

1753-1817
bandagī ham ne to jī se apnī Thānī aap kī
banda-parvar ḳhair aage qadr-dānī aap kī
thī jo vo laahī kī Topī zāfrānī aap kī
so hamāre paas hai ab tak nishānī aap kī
dam-ba-dam kah baiThnā bas jaao apnī un ke paas
kyuuñ nahīñ jaatī vo ab tak bad-gumānī aap kī
kyā kahūñ maare ḳhushī ke haal merā kyā huā
aamad aamad jo huī kal nā-gahānī aap kī
hai kisī se aaj va.ada kuchh ajī ḳhālī nahīñ
ye dhaḌe missī kī hoñToñ par jamānī aap kī
ham ne sau rāteñ jagā.īñ tab huā ye ittifāq
so usī din ko dharī thī niiñd aanī aap kī
mere haq meñ ab jo ye irshād farmāyā ki hai
ḳhuub yaañ manqūsh-ḳhātir jāñ-fishānī aap kī
lek maiñ oḌhūñ bichhā.ūñ yā lapeTūñ kyā karūñ
rūkhī phīkī aisī sūkhī mehrbānī aap kī
kyuuñ na ishq-allāh bolūñ hazrat-e-dil aap ko
peshvāoñ ne bhī apnī aan maanī aap kī
diid kar Daalā bas un se ālam-e-lāhūt sabt
jis ne lagdī bañk kī saafī meñ chhānī aap kī
apnī āñkhoñ meñ paḌī phirtī hai ab tak roz-o-shab
arsh par daatā vahī sūrat dikhānī aap kī
ai junūñ ustād bas ḳham Thoñk kar aa jā.iye
haañ ḳhalīfa ham bhī dekheñ pahalvānī aap kī
sadqa sadqa kyuuñ na ho jā.ūñ bhalā ġhash khā ke maiñ
dekh gadrā.ī huī uThtī javānī aap kī
sabza-āġhāzī so ye kuchh tispe aafat sādgī
qahr phir us baat par gardan hilānī aap kī
apnī āñkhoñ meñ tarāvaT aa ga.ī yak-bārgī
dekh kar ye lahlahe poshāk dhānī aap kī
kyuuñ na laḌkī sab kaheñ havvā tumheñ ai shaiḳh jiyu
hai jamūḳhī kī sī sūrat ye Darānī aap kī
gol pagḌī niilī luñgī mūñchh munDī takiya riish
phir vo rūmāl aur vo āḳh-thū nāsdānī aap kī
do gulābī lā ke saaqī ne kahā 'inshā' ko raat
zāfrānī merā hissa arġhavānī aap kī
Top Urdushayar.com