baat ke saath hī maujūd hai Taal ek na ek
hai ḳhilāf apne sadā aap ke chaal ek na ek
ham bhī is vāste baiThe haiñ ki ho rahtā hai
tujh sahī sarv ke saaye meñ nihāl ek na ek
yaar hai paas par ab fart-e-taraddud ke sabab
aa hī rahtā hai mire dil ko malāl ek na ek
maiñ to har-chand bachātā huuñ va-lekin haihāt
khub hī jaatā hai in āñkhoñ meñ jamāl ek na ek
tujhe kuchh husn-parastī se nahīñ kaam vale
ho hī rahtā hai mire jī kā zavāl ek na ek
kyā karūñ garche bhulātā huuñ bahut maiñ lekin
aa hī rahtā hai tirā mujh ko ḳhayāl ek na ek
majlis-e-vajd meñ paḌh apnī ġhazal tū 'inshā'
kar hī baiThegā abhī sunte hī haal ek na ek