achchhā jo ḳhafā ham se ho tum ai sanam achchhā
lo ham bhī na boleñge ḳhudā kī qasam achchhā
mashġhūl kiyā chāhiye is dil ko kisī taur
le leveñge DhūñD aur koī yaar ham achchhā
garmī ne kuchh aag aur bhī siine meñ lagā.ī
har taur ġharaz aap se milnā hī kam achchhā
aġhyār se karte ho mire sāmne bāteñ
mujh par ye lage karne nayā tum sitam achchhā
ham mo.atakif-e-ḳhalvat-e-but-ḳhāna haiñ ai shaiḳh
jaatā hai to jā tū pa.e-tauf-e-haram achchhā
jo shaḳhs muqīm-e-rah-e-dildār haiñ zāhid
firdaus lage un ko na bāġh-e-iram achchhā
kah kar ga.e aatā huuñ koī dam ko abhī maiñ
phir de chale kal kī sī tarah mujh ko dam achchhā
is hasti-e-mauhūm se maiñ tañg huuñ 'inshā'
vallāh ki is se ba-marātib adam achchhā