Insha Allah Khan 'Insha'

hai tera gal mal bose ka

Insha Allah Khan 'Insha'

Murshidabad, West Bengal, India

1753-1817
hai tirā gaal maal bose kā
kyuuñ na kiije savāl bose kā
muñh lagāte hī hoñTh par tere
paḌ gayā naqsh laal bose kā
zulf kahtī hai us ke mukhḌe par
ham ne maarā hai jaal bose kā
sub.h ruḳhsār us ke niile the
shab jo guzrā ḳhayāl bose kā
añkhḌiyāñ surḳh ho ga.iiñ chaT se
dekh liije kamāl bose kā
jaan nikle hai aur miyāñ de Daal
aaj va.ada na Taal bose kā
gāliyāñ aap shauq se diije
raf.a kiije malāl bose kā
hai ye taaza shagūfa aur suno
phuul laayā nihāl bose kā
aks se aa.ine meñ kahtā hai
khīñch kar infi.āl bose kā
barg-e-gul se jo chiiz nāzuk hai
vaañ kahāñ ehtimāl bose kā
dekh 'inshā' ne kyā kiyā hai qahr
mutahammil ye gaal bose kā
Top Urdushayar.com