tafazzulāt nahīñ lutf kī nigāh nahīñ
muāmla abhī mutlaq vo rū-ba-rāh nahīñ
ġhalat hai aah ki hai dil ko dil se raah nahīñ
ki terī chaah mujhe tujh ko merī chaah nahīñ
ġhulām ham to haiñ aise mizāj vāloñ ke
kisī ke saath kisī Dhab kī jin ko raah nahīñ
hamārī chorī jo sābit huī dalīl bhī kuchh
muqir nahīñ koī shāhid nahīñ gavāh nahīñ
tavāzo aap kī ham kyā kareñ bhalā sāhib
ba-qaul shaḳhse is apne jigar meñ aah nahīñ
rukhā.iyāñ jo yahī haiñ to is tarah apnā
nahīñ nahīñ nahīñ hargiz nahīñ nibāh nahīñ
haram se dair meñ yaañ āb-o-dāna le aayā
ba-rabb-e-ka.aba mirā is meñ kuchh gunāh nahīñ
na kuchh jihat na sabab qāh-qāh hañste ho
tumhārī ḳhush mujhe aatī ye qāh-qāh nahīñ
kahūñ ba-qaid-e-qasam lā-ilāha il-lallāh
ki tāb-e-hijr bas ab mujh meñ ai ilaah nahīñ