Insha Allah Khan 'Insha'

kamar bandhe hue chalne ko yan sab yar baiThe hain

Insha Allah Khan 'Insha'

Murshidabad, West Bengal, India

1753-1817
kamar bāñdhe hue chalne ko yaañ sab yaar baiThe haiñ
bahut aage ga.e baaqī jo haiñ tayyār baiThe haiñ
na chheḌ ai nik.hat-e-bād-e-bahārī raah lag apnī
tujhe aTkheliyāñ sūjhī haiñ ham be-zār baiThe haiñ
ḳhayāl un kā pare hai arsh-e-āzam se kahīñ saaqī
ġharaz kuchh aur dhun meñ is ghaḌī mai-ḳhvār baiThe haiñ
basān-e-naqsh-e-pā-e-rah-ravāñ kū-e-tamannā meñ
nahīñ uThne kī tāqat kyā kareñ lāchār baiThe haiñ
ye apnī chaal hai uftādgī se in dinoñ pahroñ
nazar aayā jahāñ par sāya-e-dīvār baiThe haiñ
kaheñ haiñ sabr kis ko aah nañg o naam hai kyā shai
ġharaz ro piiT kar un sab ko ham yak baar baiThe haiñ
kahīñ bose kī mat jur.at dilā kar baiThiyo un se
abhī is had ko vo kaifī nahīñ hushyār baiThe haiñ
najīboñ kā ajab kuchh haal hai is daur meñ yaaro
jise pūchho yahī kahte haiñ ham bekār baiThe haiñ
na.ī ye vaz.a sharmāne kī sīkhī aaj hai tum ne
hamāre paas sāhab varna yuuñ sau baar baiThe haiñ
kahāñ gardish falak kī chain detī hai sunā 'inshā'
ġhanīmat hai ki ham sūrat yahāñ do-chār baiThe haiñ
Top Urdushayar.com