nādāñ kahāñ tarab kā sar-anjām aur ishq
kuchh bhī tujhe shu.ūr hai ārām aur ishq
lene na deveñge mujhe Tuk chain jiite jī
dushman ye dono gardish-e-ayyām aur ishq
yaañ ġhash haiñ shauq-e-tauf haiñ yārān-e-ka.aba ko
ai nāma-bar tū kahiyo ye paiġhām aur ishq
kyā naam le ke us kā pukārā karūñ ki yaañ
rakhtā hai har zabān meñ ik naam aur ishq
pūchhā kisī ne qais se tū hai mohammadī
bolā vo bhar ke aah ki islām aur ishq
asbāb-e-kā.enāt se bas ho ke be-navā
'inshā' ne intiḳhāb kiyā jaam aur ishq