ek din raat kī sohbat meñ nahīñ hote sharīk
ham ko kyā fā.eda gar aap bahut haiñ nazdīk
ab to Tuk ho ke khaḌe baat hamārī sun lo
raat hai kūcha-o-bāzār paḌe haiñ tārīk
paan jo haath se kal ġhair ke tū ne khāyā
pī ke lohū ko ġharaz ghūñT rahe ham juuñ piik
duur ho vādī-e-majnūñ se nikal ai vahshat
kis vasīle se milī tujh ko jahāñ kī tamlīk
vādī-e-ishq meñ 'inshā' tū sambhal kar jaatā
haañ ḳhabar-dār ki ye raah bahut hai tārīk