Insha Allah Khan 'Insha'

jaDe mein kya maza ho wo to simaT rahe hon

Insha Allah Khan 'Insha'

Murshidabad, West Bengal, India

1753-1817
jaaḌe meñ kyā maza ho vo to simaT rahe hoñ
aur khol kar razā.ī ham bhī lipaT rahe hoñ
ab aap kī damoñ meñ ham aa chuke haTo bhī
ḳhush aave pyāre kis ko jab dil hī kaT rahe hoñ
kyūñkar zabāñ se un kī apnā bachāv hove
zāt-o-sifāt sab ke jab vo ukaT rahe hoñ
aate the saath mere dekho to kyā hue vo
aisā na ho ki pīchhe rishte meñ kaT rahe hoñ
tab sair dekhe koī bāham laḌā.īyoñ ke
khīñche hoñ vo to teġhā aur ham bhī DaT rahe hoñ
kyā kar sakeñ divāne hāl-e-dil-e-pareshāñ
zulfoñ ke baal un ke jab aap laT rahe hoñ
aapas meñ rūThne kā andāz ho to ye ho
vo ham se phaT rahe hoñ ham un se phaT rahe hoñ
jī chāhtā hai ai dil ik aisī raat aave
matl.a ho saaf shahrā bādal bhī phaT rahe hoñ
sote hoñ chāñdnī meñ vo muñh lapeTe aur ham
shabnam kā vo dupaTTa paTThe ulaT rahe hoñ
panjam ġhazal ab 'inshā' andāz kī sunā dī
āġhosh meñ ma.ānī jis ke lipaT rahe hoñ
Top Urdushayar.com