bañk kī jalva-garī par ġhash huuñ
ya.anī us sabz parī par ġhash huuñ
garche duniyā ke hunar haiñ lekin
apne maiñ be-hunarī par ġhash huuñ
barq kī tarah na taḌpūñ kyūñkar
terī poshāk-e-zarī par ġhash huuñ
us kī pishvāz kī se laa.ī baas
us kī maiñ god-bharī par ġhash huuñ
ġhash nasīm-e-saharī hai mujh par
maiñ nasīm-e-saharī par ġhash huuñ
use kuchh ho na sakā 'inshā' maiñ
aah kī be-asarī par ġhash huuñ