Insha Allah Khan 'Insha'

zamin se uTThi hai ya charKH par se utri hai

Insha Allah Khan 'Insha'

Murshidabad, West Bengal, India

1753-1817
zamīñ se uTThī hai yā charḳh par se utrī hai
ye aag ishq kī yārab kidhar se utrī hai
utartī najd meñ kab thī savārī-e-lailā
Tuk aah qais ke jazb-e-asar se utrī hai
nahīñ nasīm-e-bahārī ye hai parī koī
uḌan-khaTole ko Thahrā jo far se utrī hai
na jaan is ko shab-e-mah ye chāñdnī-ḳhānam
kamand-e-nūr pe auj-e-qamar se utrī hai
chalo na dekheñ to kahte haiñ dasht-e-vahshat meñ
junūñ kī fauj baḌe karr-o-farr se utrī hai
nahīñ ye ishq tajallī hai haq-ta.ālā kī
jo raah zīna-e-bām-e-nazar se utrī hai
libās-e-āh meñ likhne ke vāste 'inshā'
qalam davāt tujhe arsh par se utrī hai
Top Urdushayar.com