Insha Allah Khan 'Insha'

sad-barg gah dikhai hai gah arghawan basant

Insha Allah Khan 'Insha'

Murshidabad, West Bengal, India

1753-1817
sad-barg gah dikhā.ī hai gah arġhavāñ basant
laa.ī hai ek taaza shagūfa yahāñ basant
bhar bhar ke gulistāñ meñ mai-e-aish-o-jashn se
detī hai har ghaḌī mujhe ritl-e-garāñ basant
tū uTh chalā to zard hue sab ke rañg-e-rū
kal aa ga.ī bahār meñ ye nā-gahāñ basant
aate nazar haiñ dasht-o-jabal zard har taraf
hai ab ke saal aisī hai ai dostāñ basant
shādābī-e-nasīm se bahr-e-surūr ko
kartī hai josh maar ke ab be-karāñ basant
gar fīl-masal malā.ika hoñ ahl-e-zohd sab
le aave bahr-e-sair unheñ mū-kashāñ basant
patte nahīñ chaman meñ khaḌakte tire baġhair
kartī hai is libās meñ har-dam fuġhāñ basant
gar shāḳh-e-za.afarāñ use kahiye to hai ravā
hai farah-baḳhsh vāqa.ī is had kohāñ basant
gurvā banā ke rīsh-e-moḳhazzab se mohtasib
jaatā hai us maqām meñ jaave jahāñ basant
'inshā' se shaiḳh pūchhtā hai kyā salāh hai
tarġhīb-e-bāda dī hai mujhe ai javāñ basant
Top Urdushayar.com