hai jis meñ qufl-e-ḳhāna-e-ḳhummār toḌiye
ya.anī dar-e-bahisht ko yakbār toḌiye
kyuuñ qaid-e-ḳhum meñ duḳhtar-e-raz hī paḌī rahe
ye mohr-e-resmān-e-sarokār toḌiye
shāgird amīr-hamza-e-sāhib-qirāñ ke haiñ
kyūñkar bhalā na qil.a-e-ashrār toḌiye
kiije laqā-e-bāḳhtar-e-be-baqā ko qaid
najtak ke sar pe gurz-e-garāñ-bār toḌiye
choTī pakaḌ ke nargis-e-jādū kī khīñchiye
kalle ko us ke māriye lalkār toḌiye
rustam se chhīn lījiye dev-e-safed ko
aur is kī dah maroḌ ke talvār toḌiye
sadd-e-sikandarī bhī jo chaḌh jaa.e dhyān to
vohīñ tufail-e-haidar-e-karrār toḌiye
aa jāveñ haft-ḳhvān-e-tilismāt sāmne
to ḳhair se unheñ bhī ba-takrār toḌiye
hisn-e-zamurradain-e-adū koh-e-qāf par
hove to us ko bhej ke ayyār toḌiye
zambīl hai amar kī dil-e-fikr-ḳhez ye
is ko kisī tarah se na zinhār toḌiye
hai azm-jazm ye ki zabardastī aaj to
band-e-qabā hai mausam-e-gulzār toḌiye
yā chheḌne ko abr ke ik jhaTkā maar kar
shalvār-band barq-e-sharar-bār toḌiye
jī chāhtā hai le ke balā.eñ tumhārī aaj
poreñ in uñgliyoñ ko sab ai yaar toḌiye
'inshā' dikhā ke aur bhī ik jalva-e-ġhazal
band-e-naqāb-e-shāhid-e-asrār toḌiye