kyā milā ham ko terī yaarī meñ
rahe ab tak umīd-vārī meñ
haath gahrā lagā kū-e-qātil
zor-e-lazzat hai zaḳhm-e-kārī meñ
dil jo be-ḳhud huā sabā laa.ī
kis kī bū nighat-e-bahārī meñ
Tuk udhar dekh tū bhalā ai chashm
fā.eda aisī ashk-bārī meñ
chaT lagā dete haiñ mire aañsū
silk-e-gauhar ke āb-dārī meñ
ruuTh kar us se maiñ jo kal bhāgā
nā-gahāñ dil kī be-qarārī meñ
aa liyā us ne dauḌ kar mujh ko
taak ke ochhal ek kyārī meñ
yuuñ lagā kahne bas divāna na ban
paaoñ rakh apnā hoshiyārī meñ
kab talak maiñ bhalā rahūñ shab-o-roz
terī aisī mazāj-dārī meñ
hai samāyā huā jo laḌkā-pan
aap kī vaz.a pyārī pyārī meñ
apnī bakrī kā muñh chiḌāte vaqt
kyā ḳhush aatī hai ye tumhārī ''meñ''
banda-e-bū-turāb hai 'inshā'
shak nahīñ us kī ḳhāksārī meñ