toḌūñgā ḳhum-e-bāda-e-añgūr kī gardan
rakh dūñgā vahāñ kaaT ke ik huur kī gardan
ḳhuddār kī ban shakl alif haa.e anal-haq
nit chāhtī haiñ ik na.ī mansūr kī gardan
kyuuñ sāqī-e-ḳhurshīd-e-jabīñ kyā hai nasha huuñ
sab yūñhī chaḌhā jā.ūñ mai-e-nūr kī gardan
uchhlī hui varzish se tarī DañD pe machhlī
hai nām-e-ḳhudā jaisī saqanqūr kī gardan
thā shaḳhs jo gardan-zadanī us se ye bole
ab dījiye hai denī jo manzūr kī gardan
ā.īne kī gar sair kare shaiḳh ye dekhe
sar ḳhurs kā muñh ḳhuuk kā lañgūr kī gardan
yuuñ panja-e-mizhgāñ meñ paḌā hai ye marā dil
juuñ changul-e-shahbāz meñ usfūr kī gardan
tab ālam-e-mastī kā mazā hai ki paḌī ho
gardan pe mirī us but-e-maḳhmūr kī gardan
baiThā ho jahāñ paas sulaimān ke aasif
vaañ kyuuñ na jhukī qaisar o faġhfūr kī gardan
bheñchī hai baġhal apnī maiñ is zor se jo ishq
to toḌne par hai kisī majbūr kī gardan
ai mast ye kyā qahr hai ḳhisht-e-sar-e-ḳhum se
kyuuñ tū ne'' surāhī kī bhalā chuur kī gardan
mahfil meñ tarī sham.a banī mom kī maryam
pighlī paḌī hai us kī vo kāfūr kī gardan
ai dev-e-safed-e-saharī kaash tū toḌe
ik mukke se ḳhur ke shab-e-dījūr kī gardan
jab kushta-e-ulfat ko uThāyā to alam se
bas hil ga.ī us qātil-e-maġhrūr kī gardan
be-sāḳhta bolā ki are haath to Tuk do
Dhalke na mire āshiq-e-maġhfūr kī gardan
hāsid to hai kyā chiiz kare qasd jo 'inshā'
tū toḌ de jhaT balġham-e-bā.ūr kī gardan