Javed Shaheen

zaKHm koi ek baDi mushkil se bhar jaane ke baad

Javed Shaheen

Amritsar, Punjab, India

1932-2008
zaḳhm koī ik baḌī mushkil se bhar jaane ke ba.ad
mil gayā vo phir kahīñ dil ke Thahar jaane ke ba.ad
maiñ ne vo lamha pakaḌne meñ kahāñ tāḳhīr kī
sochtā rahtā huuñ ab us ke guzar jaane ke ba.ad
kaisā aur kab se ta.alluq thā hamārā kyā kahūñ
kuchh nahīñ kahne ko ab us ke mukar jaane ke ba.ad
mil rahā hai sub.h ke taare se jaatā māhtāb
raat ke tārīk ziine se utar jaane ke ba.ad
kyā karūñ āḳhir chalānā hai mujhe kār-e-jahāñ
jam.a ḳhud ko kar hī letā huuñ bikhar jaane ke ba.ad
zaḳhm ik aisā hai jis par kaam ab kartā nahīñ
vaqt kā marham zarā sā kaam kar jaane ke ba.ad
chup haiñ yuuñ chīzeñ ki khul kar saañs bhī letī nahīñ
jaise ik sadme kī hālat meñ huuñ Dar jaane ke ba.ad
haiñ navāh-e-dil meñ 'shāhīñ' kuchh nashebī bastiyāñ
Dūbtā rahtā huuñ un meñ paanī bhar jaane ke ba.ad
Top Urdushayar.com