haiñ jo muravvaj mehr-o-vafā ke sab sar-rishte bhuul ga.e
phir ga.e tum to qaul-o-qasam se apne navishte bhuul ga.e
jab dekho tab lāThī Theñge khaT khaT karte phirte haiñ
uḌte haiñ koī shaiḳh-jī sāhab un ko farishte bhuul ga.e
ahle-gahle phirte ho sāhab sair-e-chaman meñ aur tumheñ
apne taḌapte zaḳhmī sab ḳhuuñ meñ āġhushte bhuul ga.e
qāzī-jiyo ke donoñ beTe ham se kaheñge hai vo masal
ghar meñ farishte ke ḳhārishte so ḳhārishte bhuul ga.e
nasl baḌī aadam kī 'inshā' kaun kisī ko pahchāne
bā.is-e-kasrat ham dīgar ke nāte-rishte bhuul ga.e