hazrat-e-ishq idhar kiije karam yā ma.abūd
bāl-gopāl haiñ yaañ aap ke ham yā ma.abūd
banda-ḳhāna meñ ajī lā.iye tashrīf-e-sharīf
aa ke rakh diije in ā.ankhoñ pe qadam yā ma.abūd
nafī isbāt kī shāġhil jo qalandar haiñ so vo
apnī gardan ko nahīñ karte haiñ ḳham yā ma.abūd
apne daatā kī haqīqat ke haiñ jalva tum meñ
lam.a-e-nūr-e-tajallī kī qasam yā ma.abūd
jald phaTkāriye sabze ke nashe ko koḌā
khīñchiye aur koī sulfe kā dam yā ma.abūd
aap hī aap haiñ vo aap ne sach farmāyā
yuuñ bhī kuchh dhoke se the naam ko ham yā ma.abūd
varna ye āriyatan hai jo vajūd apnā so
guzarāñ vo to hai juuñ mauja-e-yam yā ma.abūd
vāqa.ī bolne se apne laḌā baiThe jo aañkh
kyuuñ ḳhudī se na kare pher vo rum yā ma.abūd
aañkh ko kahte arab ain haiñ so ain agar
dam par aa jaa.e to ho ain-e-adam yā ma.abūd
raat tiryāk nasha ne to ulaT Daalā vaah
koī gholā to vo thā kāsa-e-sam yā ma.abūd
sidra tak aan to pahuñchā huuñ dilī qasd hai ye
ki baḌhūñ aur bhī do-chār qadam yā ma.abūd
chaar zaanū ho ab 'inshā' bhī zamīñ se ūñchā
yak va jab rahne lagā saada kī dam yā ma.abūd