Insha Allah Khan 'Insha'

ye jo mujhse aur junun se yan baDi jang hoti hai der se

Insha Allah Khan 'Insha'

Murshidabad, West Bengal, India

1753-1817
ye jo mujh se aur junūñ se yaañ baḌī jañg hotī hai der se
so kuchh aisī Dhab se laḌā.ī hai laḌe sher jaise ki sher se
banī shakl lailā-e-nau-javāñ mire daatā kyā kahūñ al-amāñ
vo tajallī ek jo huī ayaañ kisī raat qais ke Dher se
abhī do mahīne se huuñ judā na to ḳhvāb meñ bhī nazar paḌā
bhalā aur andher ziyāda kyā kahīñ hogā aise andher se
mujhe shāmiyāna tale se kyā mirā dil to kahtā hai mujh se aa
sar-e-rāh koThe pe baiTh jā yahīñ takiya de ke muñDer se
tirī bādle kī ye oḌhnī are barq kauñde nazar meñ tab
kare ye ghaTā jo muqābla kisī peshvāz ke gher se
nahīñ intizār ke hausle mujhe sūjhe saikḌoñ artale
qasam un ne khaa.ī to hai vale mirā jī Dare hai adher se
bhalā mujh se dev ke sāmne koī Thoñk sakte haiñ ḳham bhalā
are ye añgūThe se aadmī to bichāre ḳhud haiñ baTer se
''vahī pī kahāñ vahī pī kahāñ'' yahī ek raT sī jo hai so hai
mahārāj choT sī lagtī hai mujhe is papīhe kī Ter se
ġhazal 'inshā' aur bhī ek likh isī bahar aur radīf kī
ki zabar kī qāfiye jis meñ hoñ mujhe nafrat aa ga.ī zer se
Top Urdushayar.com