Insha Allah Khan 'Insha'

mujhe chheDne ko saqi ne diya jo jam ulTa

Insha Allah Khan 'Insha'

Murshidabad, West Bengal, India

1753-1817
mujhe chheḌne ko saaqī ne diyā jo jaam ulTā
to kiyā bahak ke maiñ ne use ik salām ulTā
sahar ek maash pheñkā mujhe jo dikhā ke un ne
to ishārā maiñ ne taaḌā ki hai lafz-e-shām ulTā
ye balā dhuāñ nasha hai mujhe is ghaḌī to saaqī
ki nazar paḌe hai saarā dar-o-sahn-o-bām ulTā
baḌhūñ us galī se kyūñkar ki vahāñ to mere dil ko
koī khīñchtā hai aisā ki paḌe hai gaam ulTā
dar-e-mai-kada se aa.ī mahak aisī hī maze kī
ki pichhāḌ khā girā vaañ dil-e-tishna-kām ulTā
nahīñ ab jo dete bosa to salām kyuuñ liyā thā
mujhe aap pher diije vo mirā salām ulTā
lage kahne aab maaya tujhe ham kahā kareñge
kahīñ un ke ghar se baḌh kar jo phirā ġhulām ulTā
mujhe kyuuñ na maar Daale tirī zulf ulaT ke kāfir
ki sikhā rakhā hai tū ne use lafz-e-rām ulTā
nire sīdhe-sāde ham to bhale aadmī haiñ yaaro
hameñ kaj jo samjhe so ḳhud valad-ul-harām ulTā
tū jo bātoñ meñ rukegā to ye jānūñgā ki samjhā
mire jān-o-dil ke mālik ne mirā kalām ulTā
faqat is lifāfe par hai ki ḳhat āshnā ko pahuñche
to likhā hai us ne 'inshā' ye tirā hī naam ulTā
Top Urdushayar.com