tark kar apne nañg-o-nām ko ham
jaate haiñ vaañ faqat salām ko ham
ḳhum ke ḳhum to luḌhā.ī yuuñ saaqī
aur yuuñ tarseñ ek jaam ko ham
maiñ kahā maiñ ġhulām huuñ bolā
jāneñ haiñ ḳhuub is ġhulām ko ham
dair o ka.aba ke biich haiñ hañste
ḳhalq ke dekh izhdihām ko ham
mutakallim haiñ ḳhaas logoñ se
karte haiñ kab ḳhitāb aam se ham
rūThne meñ bhī lutf hai 'inshā'
sub.h gar rūThe vo to shaam ko ham