Javed Shaheen

Dubne wala tha din sham thi hone wali

Javed Shaheen

Amritsar, Punjab, India

1932-2008
Dūbne vaalā thā din shaam thī hone vaalī
yuuñ lagā mirī koī chiiz thī khone vaalī
sub.h ke saath huī ḳhatm mirī raat kī gasht
rah ga.ī ek galī shahr ke kone vaalī
kitnā shaffāf chamaktā huā din thā jis kī
dhuup thī pyaar kī bārish meñ bhigone vaalī
kisī nā-dīda ghaḌī ke liye tayyār thā maiñ
aisī chup thī ki koī baat thī hone vaalī
zindagī mailī huī gard-e-mah-o-sāl ke saath
ik jagah chhoḌ ke hai puurī ye dhone vaalī
laakh banjar ho zamīñ phir bhī panap jā.egī
āḳhirī shai jo mire paas hai bone vaalī
itnī masrūf hai hañgāma-e-be-masraf meñ
sub.h se pahle nahīñ raat ye sone vaalī
zindagī aur hī hotī hai basar karne ko
terī merī hai faqat bojh ko Dhone vaalī
kis jagah hogā mujhe joḌne vaalā lamha
vo ghaḌī zaat ke dānoñ ko pirone vaalī
saarā sabza thā kisī maḳhmalī bistar kī tarah
aur zamīñ ghaas ke taḳhte pe thī sone vaalī
yuuñ to har baat yahāñ hotī rahegī lekin
tirī ḳhvāhish ke mutābiq nahīñ hone vaalī
baat is baar gharoñ tak nahīñ rahnī 'shāhīñ'
ab ke tuġhyānī hai shahroñ ko Dubone vaalī
Top Urdushayar.com