miyāñ chashm-e-jādū pe itnā ghamanD
ḳhat-o-ḳhāl o gesū pe itnā ghamanD
ajī sar uThā kar idhar dekhnā
isī chashm o abrū pe itnā ghamanD
nasīm-e-gul is zulf meñ ho to aa
na kar apnī ḳhushbū pe itnā ghamanD
shab-e-mah meñ kahtā hai vo maah se
rakābī se is rū pe itnā ghamanD
bas ai sham.a kar fikr apnī zarā
inhī chaar aañsū pe itnā ghamanD
akaḌtā hai kyā dekh dekh aa.ina
hasīñ garche hai tū pa itnā ghamanD
vo kar panjā 'inshā' se bole ki vaah
isī zor-e-bāzū pe itnā ghamanD