bhale aadmī kahīñ baaz aa are us parī ke suhāg se
ki banā huā ho jo ḳhaak se use kyā munāsibat aag se
bahut apnī taak buland thī koī biis gaz kī kamand thī
par uchhāl phāñdā vo band thī tire chaukī-dāroñ kī jaag se
bahut aa.e mohre kaḌe kaḌe vo jo muñD-jī the baḌe baḌe
vale aise to na nazar paḌe ki jo saaf paak hoñ laag se
vo siyāh-baḳht jo raat ko tire dām-e-zulf meñ phañs gayā
use aa ke vahm-o-ḳhayāl ke lage Dasne saikḌoñ naag se
bharā maiñ ne bindrāban meñ jo are kishn hop kā na.ara to
mahārāj nāchte kūdte chale aa.e laT-paTī paag se
lage kahne khem-kusal use jo 'alī' ke dhyān ke biich hai
tore dukh-daliddar jitte the ga.e bhaag aap ke bhaag se
ho.e āshiq un ke haiñ mard o zan ye anokhī un kī bhī kuchh nahīñ
koī taaza aa.e haiñ barhaman ye jo kāshī aur praag se
tujhe chāhte nahīñ ham haiñ bas unhoñ ko bhī to tirī havas
vo jo bhakḌe ber se sau baras ke purāne būḌhe haiñ daag se
ai lo aa.e aa.e sivā.e kuchh nahīñ baat dhyān meñ chaḌhtī kuchh
kuchh ik in faqīroñ kī majliseñ bhī to miltī-jultī haiñ bhaag se
mujhe kaam un ke jamāl se na to Tappe se na ḳhayāl se
na to vajd se na to haal se na to naach se na to raag se
ye sa.ādat us ko 'alī' ne dī jo vazīr-e-āzam-e-hind hai
ki badaulat us kī jahān meñ nahīñ ḳhauf bakrī ko baag se
mujhe rahm aatā hai aisoñ par basar apne karte haiñ vaqt jo
kisī phal se yā kisī phuul se kisī paat se kisī saag se
guthī in suroñ hī meñ aa ga.ī mujhe ik uruus ke baas se
abhī 'inshā' apnā ho bas agar to lipaT hī jā.ūñ bahāg se