Insha Allah Khan 'Insha'

diwar phandne mein dekhoge kaam mera

Insha Allah Khan 'Insha'

Murshidabad, West Bengal, India

1753-1817
dīvār phāñdne meñ dekhoge kaam merā
jab dham se aa kahūñgā sāhab salām merā
ham-sā.e aap ke maiñ letā huuñ ik havelī
is shahr meñ huā jo chande qayām merā
jo kuchh ki arz kī hai so kar dikhā.ūñgā maiñ
vaahī na baat samjho yūñhī kalām merā
achchhā mujhe satāo jitnā ki chāho maiñ bhī
samjhūñgā gar hai inshā-allāh naam merā
maiñ ġhash huā kahā juuñ saaqī ne mujh se hañs kar
ye sabz jaam terā aur surḳh jaam merā
pūchhā kisī ne mujh ko un se ki kaun hai ye
to bole hañs ke ye bhī hai ik ġhulām merā
mahshar kī tishnagī se kyā ḳhauf sayyad 'inshā'
kausar kā jaam degā mujh ko imaam merā
Top Urdushayar.com