Insha Allah Khan 'Insha'

aane aTak aTak ke lagi sans raat se

Insha Allah Khan 'Insha'

Murshidabad, West Bengal, India

1753-1817
aane aTak aTak ke lagī saañs raat se
ab hai umiid sirf ḳhudā hī kī zaat se
saaqī havā-e-sard ko tū sarsarī na jaan
kaifiyyat us kī pūchh nabāt-e-nabāt se
apnā sanam vo qahr hai ai barhaman ki gar
dekhe manāt ko to girā deve laat se
kal se to iḳhtilāt meñ taaza hai iḳhtirā.a
rukne lagī haiñ aap mirī baat baat se
pesh aa.iye ba-shafqat-o-lutf us se shaiḳh jī
bint-ul-anab ko jāniye apne nabāt se
hāsil kiyā jo ham ne qadam-bos-e-pīr-e-dair
aa.ī sadā-e-ishq dar-e-somnāt se
haiñ vājib-ul-vajūd ke anvār ishq meñ
us kī sifāt-e-zāt nahīñ mumkināt se
ash.ār-e-tab.a-zād mirī sun ke shoḳh vo
kahne lagā ki fā.eda is mohmalāt se
mutlaq milā ke aañkh idhar dekhte nahīñ
aate nazar ho aaj bhī kam iltifāt se
'inshā' ne aa lagā hī liyā tum ko baat meñ
zālim vo cūktā hai koī apnī ghaat se
Top Urdushayar.com